Posts

Showing posts from 2007
Kuch is tarah se majboor hue tum us paar to hum is paar hue.... Tum udhar bechen to hum idhar bechen hue.... Chand aur taare to paas hue par tum humse aur hum tumse dur hue.... In aankho ne aansu jhalkaaye jab tum humari nazaro se dur hue.... Hum the idhar majboor tum the udhar majboor.... Hum kuch kah na sake tum kuch kar na sake.... Na tum humse mil sake na hum tumse mil sake.... kal is tarah hum tumse dur hue na milne ko majboor hue....
Tumse mille to humne yeh jaana kya hota hai kisi ko paana.... Tum hi to ho mere jivan ka anmol hissa tum hi to ho mere pyaar ka bemol hissa.... Bitaye humne tumhare saath kitne hi din darr lagta hai yeh din humse jaaye na chin.... Kabhi tumhara rudhna humara manana kabhi humara rudhna tumhara manana.... Meri choti choti baataon par tumhara khilkhilana mere gusse par tumahare pyaar ka, baarish ki pahli bund ki tarah girna.... Kis tarah se tumse yu milna aur kabhi nahin bigudna.... Hum kabhi bhul na paayenge zindagi ka ye tarana tum bhi shaayad na bhul pao apna yeh yarana... kahta hai dil yeh mera vidai hone par bhi judai nahin hogi.... Mein tumse aur tum mujhse milte hi rahoge.........

PATHER EK MEEL KA

Hu mein pathar ek meel ka batata hu pathik ko..... Hai manjil se dur kitna chalta meri taraf besabri se..... Dekhkar apne prati prem pathik ka fula na samata mein garv se...... pahunch jata jab pathik apni manjil par..... Tab bhula deta mujhe par mein na bhulta use..... Uske shan bhar ke prem mein ko jo diya usne mujhe...... Aur chod diya usi sadak par pathar ek meel ka.....

TAMANNA

Tamanna thi ek, is chote se dil mein chaha tha kuch mere is chote se dil ne...... Koi mille aisa jo kare mujhe, mujhse bhi jyaada pyaar jo aa jaaye mere jivan mein bankar bahaar...... Jo lage mujhe apna sa ho jo pyaara sa...... Kabhi jaun agar mein rudh to manaye woh mujhko meri galtiyon par samajhaye woh mujhko...... Meri pyaar bhari baaton par muskaraye woh pyaar se hu jab mein udaas, to bhar le woh apni baanho mein mujhe pyaar se...... Mere saare sukh-dukh uske ho uske saare sukh-dukh mere ho...... Aagosh mein aa jaoun mein jab uski, to bhul jaun apne saare dhukh mille mujhe duniya bhar ki khushiya usse aur mere hisse ke saare sukh...... Tamanna ki thi yeh mere is chote se dil ne......... (" Har kisi ki hoti nahin hai tamannain puri......khushnasib hu mein kyonki meri hui hai yeh saari tamannain puri...... ") These lines are dedicated to my love:)

MAA

Maa to maa hoti hai maa se badkar is duniya mein koi rishta kanha hota hai... Maa to maa hoti hai maa ke bina jivan me rakha kya hai... Maa ke bina zindagi tanha tanha hai... Maa ka pyaar hai sabse sacha maa ka pyaar hai sabse acha... Maa to ek shakti hai maa to bhagwaan ki bhakti hai... Dhukh dard hum jab hota hai muh se sirf maa hi nikalata hai... Bhagwaan se badkar maa hoti hai maa ki taarif to bhala kin shabdo mein banya hoti hai... Maa to maa hoti hai.....

PRAYAAS

Prayaas kar rahi hu use dhundne ka.... Aakash ki unchai mein nadi ki gahrayi mein.... Baago ke fhoolo mein nadi ke jharno mein.... Ho jo chupa hua sa prayaas kar rahi hu use dhundne ka.... Janha aakash dharti se mille janha tan aatma se mille.... Janha phool bhavre se mille janha tota meina se mille.... wanha hai woh chupa hua sa prayaas kar rahi hu use dhundne ka.... Janha pavitarta ka aabhas ho janha shudh vani ka sanchar ho.... Janha sheetal jal ho janha pyaar hi pyaar ho.... Prayaas kar rahi hu use dhundne ka.... Yanhi to hai woh chupa hua sa....

YAAD

Jab hote hai hum akele tumhari har baat yaad aati hai...... Hume har ek pal, har ek din tumhari yaad aati hai...... Tumhe bhulna to chaha lekin, hum bhula na paaye...... Jitna chaha bhulna tum utna hume yaad aaye...... Yeh din gujrate hai teri yaad mein yeh raatein gujrati hai teri yaad mein...... Ab to hume tumse achi lagti hai beete hue dino ki yaaden...... Tumse to achi hai tumhari yaadein...... Hamesha saath rahti hai humare beete hue lamho ki yaaden......

UMEED

Kya hua agar hum jhuti umeed par jiya karte hai yeh kya kam hai ki hum jine ki umeed to kiya karte hai.... kya hua agar woh hume jhuti saantavna diya karte hai yeh kya kam hai ki hum unhi se kuch paane ki umeed kiya karte hai.... kya hua agar kabhi dard dil se aansoo ban jaate hai yeh kya kam hai ki aankhe unhe palko par sajaye ja rahi hai... kya hua agar hum dil mein laakho gam chupaye hue hai yeh kya kam hai ki hum phir bhi muskaraye ja rahe hai... kya hua agar insaan hi insaan ko dhokha de jaata hai yeh kya kam hai ki hum apne aap se dhokha khaye ja rahe hai... kya hua agar hume abhi lakshay nahin mil pa raha hai yeh kya kam hai ki hum ise umeed par jiye ja rahe hai...

APNAPAN

Image
Insaan dhundne chala, apnepan ki talaash mein phir bhi nahin mil paaya apnapan... Dhundte hai use apne antarmann mein tyaag dete hai, apne hi samay aane par... Nahi hai, apnapan apne hi logo mein isi aas par jivan vayteet hota hai... Shaayad kisi pal kisi samay mil jaaye apnapan fir bhi nahin mil paata apnapan.... Yeh kaisi talash hai............???

कल्पना

जिन्दगी मेरी कभी रंगीन बन जायेगी दिन रात फिर मुझे उसकी याद आएगी... किसकी याद, कैसी याद, यह ना जान पाऊँगी..., अपनी बुनी पहेली में, में खुद ही उलझ जाउंगी... हल्का-हल्का धुन्द्ला-धुन्द्ला कोई चहरा नज़र आएगा... जो मेरी शख्सियत को, सुर्ख रंग दे जाएगा... ऐसा मैंने सोचा ना था, ऐसा मैंने जाना ना था... कोई ऐसा भी आएगा जो, मुझसे मुझको ही चुरा ले जाएगा... यह मेरा स्वपन है या, मेरी कोरी कल्पना... अगर यह सच है तो ' वो ' बना ले मुझको अपना...

PYAAR

Karte hai tumko beimtanha pyaar rahta hai is jubaa par bas tumhara hi naam bas yeh hum tumko jataa nahin paate.... Aate ho tum yaad har pal, har ek lamha tum bin lagta hai sunaa sa har ek pal, har ek lamhaa bas yeh hum tumko jataa nahin paate... Meri aankhe dhondti hai bas tum hi rahte ho meri nazro mein bas tum hi bas yeh hum tumko jataa nahi paate... Karte hai intazaar bas tumhaara hi aate ho mere khwaabo mein bas tum hi bas yeh hum tumko jataa nahin paate... chahte hai bas saath tumhara chahte hai bas pyaar tumhaara bas yeh hum tumko bata nahin paate...

ALVIDA

Image
Alvida to ant hai Ant kisne dekha hai... Log milte hai, fir bichud jaate hai yeh to zindagi ka lekha hai... Magar ek baar phir bahar aayegi andheri raat ke baad phir subha muskarayegi... Dhukho ke baadal chatenge to phir khushiya lahrayengi... Yahi asha liye hum sabse dur chale jaange ki phir kisi maud par mulakaat hogi... Aur dil ke kisi kaune mein bitte pal muskarayenge chahe koi hume bhul jaaye, hum na kisi ko bhul paayenge...

ZINDAGI

Image
Zindagi kya hai, kaisi hai? Zindagi haqikat hai ya fasana, kaun jaanta hai ise kaun pahchaanta hai ise... Zindagi gamo ka saagar hai jise karna hai paar hume... Zindagi ek adhoora geet hai jise karna hia pura hume... Zindagi ek kavita hai jise rachna hai hume... Zindagi ek khawaab hai jise karna hai pura hume... Zindagi ek paheli hai jise hai suljhaana hume... Zindagi ek phool hai jise hai sajaana hume... Zindagi ek raasta hai jise karna hai paar hume... Zindagi mein maut bhi hai jise hai apnaana hume... Zindagi ki yahi sachaayi hai jise hai pahchaanana hume...