Tumse mille to humne yeh jaana
kya hota hai kisi ko paana....

Tum hi to ho mere jivan ka anmol hissa
tum hi to ho mere pyaar ka bemol hissa....

Bitaye humne tumhare saath kitne hi din
darr lagta hai yeh din humse jaaye na chin....

Kabhi tumhara rudhna humara manana
kabhi humara rudhna tumhara manana....

Meri choti choti baataon par tumhara khilkhilana
mere gusse par tumahare pyaar ka, baarish ki pahli bund ki tarah girna....

Kis tarah se tumse yu milna
aur kabhi nahin bigudna....

Hum kabhi bhul na paayenge zindagi ka ye tarana
tum bhi shaayad na bhul pao apna yeh yarana...

kahta hai dil yeh mera
vidai hone par bhi judai nahin hogi....

Mein tumse aur tum mujhse milte hi rahoge.........

Comments

Popular posts from this blog

कल्पना