Kya hua agar hum jhuti umeed par jiya karte hai
yeh kya kam hai ki hum jine ki umeed to kiya karte hai....
kya hua agar woh hume jhuti saantavna diya karte hai
yeh kya kam hai ki hum unhi se kuch paane ki umeed kiya karte hai....
kya hua agar kabhi dard dil se aansoo ban jaate hai
yeh kya kam hai ki aankhe unhe palko par sajaye ja rahi hai...
kya hua agar hum dil mein laakho gam chupaye hue hai
yeh kya kam hai ki hum phir bhi muskaraye ja rahe hai...
kya hua agar insaan hi insaan ko dhokha de jaata hai
yeh kya kam hai ki hum apne aap se dhokha khaye ja rahe hai...
kya hua agar hume abhi lakshay nahin mil pa raha hai
yeh kya kam hai ki hum ise umeed par jiye ja rahe hai...
Thursday, May 24, 2007
Monday, May 14, 2007
APNAPAN

Insaan dhundne chala, apnepan ki talaash mein
phir bhi nahin mil paaya apnapan...
Dhundte hai use apne antarmann mein
tyaag dete hai, apne hi samay aane par...
Nahi hai, apnapan apne hi logo mein
isi aas par jivan vayteet hota hai...
Shaayad kisi pal kisi samay mil jaaye apnapan
fir bhi nahin mil paata apnapan....
Yeh kaisi talash hai............???
phir bhi nahin mil paaya apnapan...
Dhundte hai use apne antarmann mein
tyaag dete hai, apne hi samay aane par...
Nahi hai, apnapan apne hi logo mein
isi aas par jivan vayteet hota hai...
Shaayad kisi pal kisi samay mil jaaye apnapan
fir bhi nahin mil paata apnapan....
Yeh kaisi talash hai............???
Wednesday, May 9, 2007
कल्पना
जिन्दगी मेरी कभी रंगीन बन जायेगी
दिन रात फिर मुझे उसकी याद आएगी...
किसकी याद, कैसी याद,
यह ना जान पाऊँगी...,
अपनी बुनी पहेली में,
में खुद ही उलझ जाउंगी...
हल्का-हल्का धुन्द्ला-धुन्द्ला
कोई चहरा नज़र आएगा...
जो मेरी शख्सियत को,
सुर्ख रंग दे जाएगा...
ऐसा मैंने सोचा ना था,
ऐसा मैंने जाना ना था...
कोई ऐसा भी आएगा जो,
मुझसे मुझको ही चुरा ले जाएगा...
यह मेरा स्वपन है या,
मेरी कोरी कल्पना...
अगर यह सच है तो 'वो'
बना ले मुझको अपना...
दिन रात फिर मुझे उसकी याद आएगी...
किसकी याद, कैसी याद,
यह ना जान पाऊँगी...,
अपनी बुनी पहेली में,
में खुद ही उलझ जाउंगी...
हल्का-हल्का धुन्द्ला-धुन्द्ला
कोई चहरा नज़र आएगा...
जो मेरी शख्सियत को,
सुर्ख रंग दे जाएगा...
ऐसा मैंने सोचा ना था,
ऐसा मैंने जाना ना था...
कोई ऐसा भी आएगा जो,
मुझसे मुझको ही चुरा ले जाएगा...
यह मेरा स्वपन है या,
मेरी कोरी कल्पना...
अगर यह सच है तो 'वो'
बना ले मुझको अपना...
PYAAR
Karte hai tumko beimtanha pyaar
rahta hai is jubaa par bas tumhara hi naam
bas yeh hum tumko jataa nahin paate....
Aate ho tum yaad har pal, har ek lamha
tum bin lagta hai sunaa sa har ek pal, har ek lamhaa
bas yeh hum tumko jataa nahin paate...
Meri aankhe dhondti hai bas tum hi
rahte ho meri nazro mein bas tum hi
bas yeh hum tumko jataa nahi paate...
Karte hai intazaar bas tumhaara hi
aate ho mere khwaabo mein bas tum hi
bas yeh hum tumko jataa nahin paate...
chahte hai bas saath tumhara
chahte hai bas pyaar tumhaara
bas yeh hum tumko bata nahin paate...
rahta hai is jubaa par bas tumhara hi naam
bas yeh hum tumko jataa nahin paate....
Aate ho tum yaad har pal, har ek lamha
tum bin lagta hai sunaa sa har ek pal, har ek lamhaa
bas yeh hum tumko jataa nahin paate...
Meri aankhe dhondti hai bas tum hi
rahte ho meri nazro mein bas tum hi
bas yeh hum tumko jataa nahi paate...
Karte hai intazaar bas tumhaara hi
aate ho mere khwaabo mein bas tum hi
bas yeh hum tumko jataa nahin paate...
chahte hai bas saath tumhara
chahte hai bas pyaar tumhaara
bas yeh hum tumko bata nahin paate...
Monday, May 7, 2007
ALVIDA

Alvida to ant hai
Ant kisne dekha hai...
Log milte hai, fir bichud jaate hai
yeh to zindagi ka lekha hai...
Magar ek baar phir bahar aayegi
andheri raat ke baad phir subha muskarayegi...
Dhukho ke baadal chatenge to phir khushiya lahrayengi...
Yahi asha liye hum sabse dur chale jaange
ki phir kisi maud par mulakaat hogi...
Aur dil ke kisi kaune mein bitte pal muskarayenge
chahe koi hume bhul jaaye, hum na kisi ko bhul paayenge...
Ant kisne dekha hai...
Log milte hai, fir bichud jaate hai
yeh to zindagi ka lekha hai...
Magar ek baar phir bahar aayegi
andheri raat ke baad phir subha muskarayegi...
Dhukho ke baadal chatenge to phir khushiya lahrayengi...
Yahi asha liye hum sabse dur chale jaange
ki phir kisi maud par mulakaat hogi...
Aur dil ke kisi kaune mein bitte pal muskarayenge
chahe koi hume bhul jaaye, hum na kisi ko bhul paayenge...
ZINDAGI

Zindagi kya hai, kaisi hai?
Zindagi haqikat hai ya fasana,
kaun jaanta hai ise
kaun pahchaanta hai ise...
Zindagi gamo ka saagar hai
jise karna hai paar hume...
Zindagi ek adhoora geet hai
jise karna hia pura hume...
Zindagi ek kavita hai
jise rachna hai hume...
Zindagi ek khawaab hai
jise karna hai pura hume...
Zindagi ek paheli hai
jise hai suljhaana hume...
Zindagi ek phool hai
jise hai sajaana hume...
Zindagi ek raasta hai
jise karna hai paar hume...
Zindagi mein maut bhi hai
jise hai apnaana hume...
Zindagi ki yahi sachaayi hai
jise hai pahchaanana hume...
Zindagi haqikat hai ya fasana,
kaun jaanta hai ise
kaun pahchaanta hai ise...
Zindagi gamo ka saagar hai
jise karna hai paar hume...
Zindagi ek adhoora geet hai
jise karna hia pura hume...
Zindagi ek kavita hai
jise rachna hai hume...
Zindagi ek khawaab hai
jise karna hai pura hume...
Zindagi ek paheli hai
jise hai suljhaana hume...
Zindagi ek phool hai
jise hai sajaana hume...
Zindagi ek raasta hai
jise karna hai paar hume...
Zindagi mein maut bhi hai
jise hai apnaana hume...
Zindagi ki yahi sachaayi hai
jise hai pahchaanana hume...
Subscribe to:
Posts (Atom)