Tuesday, June 26, 2007

PRAYAAS

Prayaas kar rahi hu
use dhundne ka....

Aakash ki unchai mein
nadi ki gahrayi mein....

Baago ke fhoolo mein
nadi ke jharno mein....

Ho jo chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....

Janha aakash dharti se mille
janha tan aatma se mille....

Janha phool bhavre se mille
janha tota meina se mille....

wanha hai woh chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....

Janha pavitarta ka aabhas ho
janha shudh vani ka sanchar ho....

Janha sheetal jal ho
janha pyaar hi pyaar ho....

Prayaas kar rahi hu
use dhundne ka....

Yanhi to hai woh chupa hua sa....

Monday, June 18, 2007

YAAD

Jab hote hai hum akele
tumhari har baat yaad aati hai......

Hume har ek pal, har ek din
tumhari yaad aati hai......

Tumhe bhulna to chaha
lekin, hum bhula na paaye......

Jitna chaha bhulna
tum utna hume yaad aaye......

Yeh din gujrate hai teri yaad mein
yeh raatein gujrati hai teri yaad mein......

Ab to hume tumse achi lagti hai
beete hue dino ki yaaden......

Tumse to achi hai
tumhari yaadein......

Hamesha saath rahti hai humare
beete hue lamho ki yaaden......