TAMANA

Tamana thi ek, is chote se dil mein
chaha tha kuch mere is chote se dil ne......

Koi mille aisa jo kare mujhe, mujhse bhi jyaada pyaar
jo aa jaaye mere jivan mein bankar bahaar......

Jo lage mujhe apna sa
ho jo pyaara sa......

Kabhi jaun agar mein rudh to manaye woh mujhko
meri galtiyon par samajhaye woh mujhko......

Meri pyaar bhari baaton par muskaraye woh pyaar se
hu jab mein udaas, to bhar le woh apni baanho mein mujhe pyaar se......

Mere saare sukh-dukh uske ho
uske saare sukh-dukh mere ho......

Aagosh mein aa jaoun mein jab uski, to bhul jaun apne saare dhukh
mille mujhe duniya bhar ki khushiya usse aur mere hisse ke saare sukh......

Tamana ki thi yeh mere is chote se dil ne.........

("Har kisi ki hoti nahin hai tamnanaye puri
khushnasib hu mein kyonki meri hui hai yeh saari tamanaye puri......")

These lines are dedicated to my love:)

Comments

Popular posts from this blog

कल्पना