Kuch is tarah se majboor hue
tum us paar to hum is paar hue....
Tum udhar bechen
to hum idhar bechen hue....
Chand aur taare to paas hue
par tum humse aur hum tumse dur hue....
In aankho ne aansu jhalkaaye
jab tum humari nazaro se dur hue....
Hum the idhar majboor
tum the udhar majboor....
Hum kuch kah na sake
tum kuch kar na sake....
Na tum humse mil sake
na hum tumse mil sake....
kal is tarah hum tumse dur hue
na milne ko majboor hue....
Wednesday, December 19, 2007
Tumse mille to humne yeh jaana
kya hota hai kisi ko paana....
Tum hi to ho mere jivan ka anmol hissa
tum hi to ho mere pyaar ka bemol hissa....
Bitaye humne tumhare saath kitne hi din
darr lagta hai yeh din humse jaaye na chin....
Kabhi tumhara rudhna humara manana
kabhi humara rudhna tumhara manana....
Meri choti choti baataon par tumhara khilkhilana
mere gusse par tumahare pyaar ka, baarish ki pahli bund ki tarah girna....
Kis tarah se tumse yu milna
aur kabhi nahin bigudna....
Hum kabhi bhul na paayenge zindagi ka ye tarana
tum bhi shaayad na bhul pao apna yeh yarana...
kahta hai dil yeh mera
vidai hone par bhi judai nahin hogi....
Mein tumse aur tum mujhse milte hi rahoge.........

Friday, October 12, 2007
PATHER EK MEEL KA
Hu mein pathar ek meel ka
batata hu pathik ko.....
Hai manjil se dur kitna
chalta meri taraf besabri se.....
Dekhkar apne prati prem pathik ka
fula na samata mein garv se......
pahunch jata jab
pathik apni manjil par.....
Tab bhula deta mujhe
par mein na bhulta use.....
Uske shan bhar ke prem mein ko
jo diya usne mujhe......
Aur chod diya usi sadak par
pathar ek meel ka.....
batata hu pathik ko.....
Hai manjil se dur kitna
chalta meri taraf besabri se.....
Dekhkar apne prati prem pathik ka
fula na samata mein garv se......
pahunch jata jab
pathik apni manjil par.....
Tab bhula deta mujhe
par mein na bhulta use.....
Uske shan bhar ke prem mein ko
jo diya usne mujhe......
Aur chod diya usi sadak par
pathar ek meel ka.....
Thursday, September 6, 2007
TAMANNA
Tamanna thi ek, is chote se dil mein
chaha tha kuch mere is chote se dil ne......
Koi mille aisa jo kare mujhe, mujhse bhi jyaada pyaar
jo aa jaaye mere jivan mein bankar bahaar......
Jo lage mujhe apna sa
ho jo pyaara sa......
Kabhi jaun agar mein rudh to manaye woh mujhko
meri galtiyon par samajhaye woh mujhko......
Meri pyaar bhari baaton par muskaraye woh pyaar se
hu jab mein udaas, to bhar le woh apni baanho mein mujhe pyaar se......
Mere saare sukh-dukh uske ho
uske saare sukh-dukh mere ho......
Aagosh mein aa jaoun mein jab uski, to bhul jaun apne saare dhukh
mille mujhe duniya bhar ki khushiya usse aur mere hisse ke saare sukh......
Tamanna ki thi yeh mere is chote se dil ne.........
("Har kisi ki hoti nahin hai tamannain puri......khushnasib hu mein kyonki meri hui hai yeh saari tamannain puri......")
These lines are dedicated to my love:)

Monday, July 16, 2007
MAA
Maa to maa hoti hai
maa se badkar is duniya mein koi rishta kanha hota hai...
Maa to maa hoti hai
maa ke bina jivan me rakha kya hai...
Maa ke bina
zindagi tanha tanha hai...
Maa ka pyaar hai sabse sacha
maa ka pyaar hai sabse acha...
Maa to ek shakti hai
maa to bhagwaan ki bhakti hai...
Dhukh dard hum jab hota hai
muh se sirf maa hi nikalata hai...
Bhagwaan se badkar maa hoti hai
maa ki taarif to bhala kin shabdo mein banya hoti hai...
Maa to maa hoti hai.....

Tuesday, June 26, 2007
PRAYAAS
Prayaas kar rahi hu
use dhundne ka....
Aakash ki unchai mein
nadi ki gahrayi mein....
Baago ke fhoolo mein
nadi ke jharno mein....
Ho jo chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....
Janha aakash dharti se mille
janha tan aatma se mille....
Janha phool bhavre se mille
janha tota meina se mille....
wanha hai woh chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....
Janha pavitarta ka aabhas ho
janha shudh vani ka sanchar ho....
Janha sheetal jal ho
janha pyaar hi pyaar ho....
Prayaas kar rahi hu
use dhundne ka....
Yanhi to hai woh chupa hua sa....
use dhundne ka....
Aakash ki unchai mein
nadi ki gahrayi mein....
Baago ke fhoolo mein
nadi ke jharno mein....
Ho jo chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....
Janha aakash dharti se mille
janha tan aatma se mille....
Janha phool bhavre se mille
janha tota meina se mille....
wanha hai woh chupa hua sa
prayaas kar rahi hu use dhundne ka....
Janha pavitarta ka aabhas ho
janha shudh vani ka sanchar ho....
Janha sheetal jal ho
janha pyaar hi pyaar ho....
Prayaas kar rahi hu
use dhundne ka....
Yanhi to hai woh chupa hua sa....
Monday, June 18, 2007
YAAD
Jab hote hai hum akele
tumhari har baat yaad aati hai......
Hume har ek pal, har ek din
tumhari yaad aati hai......
Tumhe bhulna to chaha
lekin, hum bhula na paaye......
Jitna chaha bhulna
tum utna hume yaad aaye......
Yeh din gujrate hai teri yaad mein
yeh raatein gujrati hai teri yaad mein......
Ab to hume tumse achi lagti hai
beete hue dino ki yaaden......
Tumse to achi hai
tumhari yaadein......
Hamesha saath rahti hai humare
beete hue lamho ki yaaden......

Thursday, May 24, 2007
UMEED
Kya hua agar hum jhuti umeed par jiya karte hai
yeh kya kam hai ki hum jine ki umeed to kiya karte hai....
kya hua agar woh hume jhuti saantavna diya karte hai
yeh kya kam hai ki hum unhi se kuch paane ki umeed kiya karte hai....
kya hua agar kabhi dard dil se aansoo ban jaate hai
yeh kya kam hai ki aankhe unhe palko par sajaye ja rahi hai...
kya hua agar hum dil mein laakho gam chupaye hue hai
yeh kya kam hai ki hum phir bhi muskaraye ja rahe hai...
kya hua agar insaan hi insaan ko dhokha de jaata hai
yeh kya kam hai ki hum apne aap se dhokha khaye ja rahe hai...
kya hua agar hume abhi lakshay nahin mil pa raha hai
yeh kya kam hai ki hum ise umeed par jiye ja rahe hai...

Monday, May 14, 2007
APNAPAN

Insaan dhundne chala, apnepan ki talaash mein
phir bhi nahin mil paaya apnapan...
Dhundte hai use apne antarmann mein
tyaag dete hai, apne hi samay aane par...
Nahi hai, apnapan apne hi logo mein
isi aas par jivan vayteet hota hai...
Shaayad kisi pal kisi samay mil jaaye apnapan
fir bhi nahin mil paata apnapan....
Yeh kaisi talash hai............???

Wednesday, May 9, 2007
कल्पना
जिन्दगी मेरी कभी रंगीन बन जायेगी
दिन रात फिर मुझे उसकी याद आएगी...
किसकी याद, कैसी याद,
यह ना जान पाऊँगी...,
अपनी बुनी पहेली में,
में खुद ही उलझ जाउंगी...
हल्का-हल्का धुन्द्ला-धुन्द्ला
कोई चहरा नज़र आएगा...
जो मेरी शख्सियत को,
सुर्ख रंग दे जाएगा...
ऐसा मैंने सोचा ना था,
ऐसा मैंने जाना ना था...
कोई ऐसा भी आएगा जो,
मुझसे मुझको ही चुरा ले जाएगा...
यह मेरा स्वपन है या,
मेरी कोरी कल्पना...
अगर यह सच है तो 'वो'
बना ले मुझको अपना...
दिन रात फिर मुझे उसकी याद आएगी...
किसकी याद, कैसी याद,
यह ना जान पाऊँगी...,
अपनी बुनी पहेली में,
में खुद ही उलझ जाउंगी...
हल्का-हल्का धुन्द्ला-धुन्द्ला
कोई चहरा नज़र आएगा...
जो मेरी शख्सियत को,
सुर्ख रंग दे जाएगा...
ऐसा मैंने सोचा ना था,
ऐसा मैंने जाना ना था...
कोई ऐसा भी आएगा जो,
मुझसे मुझको ही चुरा ले जाएगा...
यह मेरा स्वपन है या,
मेरी कोरी कल्पना...
अगर यह सच है तो 'वो'
बना ले मुझको अपना...
Subscribe to:
Posts (Atom)