UMEED

Kya hua agar hum jhuti umeed par jiya karte hai
yeh kya kam hai ki hum jine ki umeed to kiya karte hai....

kya hua agar woh hume jhuti saantavna diya karte hai
yeh kya kam hai ki hum unhi se kuch paane ki umeed kiya karte hai....

kya hua agar kabhi dard dil se aansoo ban jaate hai
yeh kya kam hai ki aankhe unhe palko par sajaye ja rahi hai...

kya hua agar hum dil mein laakho gam chupaye hue hai
yeh kya kam hai ki hum phir bhi muskaraye ja rahe hai...

kya hua agar insaan hi insaan ko dhokha de jaata hai
yeh kya kam hai ki hum apne aap se dhokha khaye ja rahe hai...

kya hua agar hume abhi lakshay nahin mil pa raha hai
yeh kya kam hai ki hum ise umeed par jiye ja rahe hai...

Comments

Gaurav said…
Wahan thodi door hai ghar mera
us ghar mein hai meri budhi maa
Meri maa ke pairon ko chooke tu use apna bete ka naam de

Popular posts from this blog

कल्पना