YAAD

Jab hote hai hum akele
tumhari har baat yaad aati hai......

Hume har ek pal, har ek din
tumhari yaad aati hai......

Tumhe bhulna to chaha
lekin, hum bhula na paaye......

Jitna chaha bhulna
tum utna hume yaad aaye......

Yeh din gujrate hai teri yaad mein
yeh raatein gujrati hai teri yaad mein......

Ab to hume tumse achi lagti hai
beete hue dino ki yaaden......

Tumse to achi hai
tumhari yaadein......

Hamesha saath rahti hai humare
beete hue lamho ki yaaden......

Comments

teri yaad (kavita) ne, teri yaad dila di.
yaad aate hi humne tumhein yaad dilane ke liye es terah yaad kiya hai,taki tum bhi humein kabhi yaaad kiya karo.
aur apni kavita(YAAD)mein , hamari yaad bhi jaroor shamil kiya karo.
agali bar mat bholna , sada yaad rakhna. raja

Popular posts from this blog

कल्पना