Kuch is tarah se majboor hue
tum us paar to hum is paar hue....
Tum udhar bechen
to hum idhar bechen hue....
Chand aur taare to paas hue
par tum humse aur hum tumse dur hue....
In aankho ne aansu jhalkaaye
jab tum humari nazaro se dur hue....
Hum the idhar majboor
tum the udhar majboor....
Hum kuch kah na sake
tum kuch kar na sake....
Na tum humse mil sake
na hum tumse mil sake....
kal is tarah hum tumse dur hue
na milne ko majboor hue....
Wednesday, December 19, 2007
Tumse mille to humne yeh jaana
kya hota hai kisi ko paana....
Tum hi to ho mere jivan ka anmol hissa
tum hi to ho mere pyaar ka bemol hissa....
Bitaye humne tumhare saath kitne hi din
darr lagta hai yeh din humse jaaye na chin....
Kabhi tumhara rudhna humara manana
kabhi humara rudhna tumhara manana....
Meri choti choti baataon par tumhara khilkhilana
mere gusse par tumahare pyaar ka, baarish ki pahli bund ki tarah girna....
Kis tarah se tumse yu milna
aur kabhi nahin bigudna....
Hum kabhi bhul na paayenge zindagi ka ye tarana
tum bhi shaayad na bhul pao apna yeh yarana...
kahta hai dil yeh mera
vidai hone par bhi judai nahin hogi....
Mein tumse aur tum mujhse milte hi rahoge.........

Subscribe to:
Posts (Atom)